Aaj lafz bewafa hain, shaayari harjaai hai
Kalam meri muflis hai, ya dard ki mehangai hai
Aawazon ki khamoshi mein is shaayar ki ruswaayee hai.
Kyun dil aaj yun chup hai, kyun dimaag aaj khaali hai
Kyun mashaal-e-kalam hai bujhi hui,
kyun shaayar aaj sawaali hai.
Sher jo sitaaron se chamakte the
Aasmaan-e-mushaayaron mein
Kyun bandh gaye hain woh aaj
Bekhaayali ke daayaron mein
Nagmein jo goonjte the kisi fankaar ki taanon mein
Kahaan kho gaye hain wo in bheed bhare zamaanon mein
Jo lafz kabhi milte the dil ke galiyaron mein..
Gazal banne ko khade hain aaj wo kataaron mein
Kalam ki mayoosi jo is kagaz ko tarsaayee hai
Hai ik khaalipan ya dil ki gehrai hai?
Jisne bas abhi abhi shaayari ki shakl paaye hai.
-Nitesh
No comments:
Post a Comment